Saturday, 14 January 2012


SUNHARE SHABD ZINDAGI KE


Sunhare shabd jindagi ke,khatam na kabhi ho paye..
Jindagi ki rah takti wo najar,na kabhi so paye…..
Sabke sath haste khelte rehne me jo chain he..
Pyar bhari ye aatma,bhagwan ki anmol den he….

Wo humse alag nahi,bas thode se bimar he...
Unki  ankho se dekh to lo,kitna pyara sansar he…
Wo hamare aapne he par khusiya kyu door he..
Pyar milega pyar se ,yehi manav dastoor he….

Galtiya to sabak hain,ye koi kasoor nahi…
Aapno se koi  vedbhaw prakirti ko manjoor nahi….
Khuda ki rehmat bani rahe,dua wo se wo aabad rahe..
Karne chalo aisa kuch ki duniya ko hamesa yad rahe….


Jagah do samaj me unko,manavta yehi keh jati he...
Sarir to he mitti ka Milan,aatma amar reh jati he…
Ghut ghut ke mar jayengi wo tamanna-e-hajar..
Pyari si najar se chu k to dekho,chod bhi do tiraskar….

Hamari ek muskan se unhe naya savera mil jayega..
Sare dard mit jayenge,pyara sa chaehra khil jayega….
Is naye abhiyan me,jab aap sabka haath hoga…
Aapka hath thamne k liye,KARUNA ka anmol saath hoga…

BY MADHAV KHANAL

No comments:

Post a Comment